Dard-E-Dil Ka Na Mila Elaj Dusra Koi
Tere Shehar Mein Na Milaaur Tujhsa Koi.
Hui Mehfil Mein Jab Batein Mere Aiebo Kee,
Patharo Ko Bhi Mile Jaise Jubaa Koi.
Hame Bhi Tha Apno Ke Wafao Pe Yakee,
Dushmano Ke Bhid Mein Mila Apna Rajdaa Koi.
Wo Ja Raha Hai Ujad Ke Kafila Panchiyoo Ka,
Hua Hai Shayad Kahi Gulshan Viraa Koi.
Aaj Bhi Pade Hain Khun Se Laal Pathar,
Choda Unkee Galiuyoo Mein Apna Nishaa Koi.
Karte Waar Talwaroo Se Too Rokte Ham Bhi,
Kaise Rokje Ab Jamane Bhar Ke Jubaa Koi.
Jiske Buniyaad Par Tum Ghar Banaye Baithe Ho,
Hota Tha Waha Kabhi Hamara Bhi Ashiyaa Koi.
Wo Dard, Wo Jazbaat Wo Karegaaree Labzoo Kee,
Na Mila Zamane Ke Shayar Galib Sa Koi.
Bade Mudat Bad Yaad Aya Kisi Ko “Dastak”
Bade Mudat Bad Jale Hain Mazar Pe Shama Koi