Dard Dil Ka Jab Mera Badhne Laga
Aansu Bankar Wo Aankhon Se Wo Behne Laga
Jiske Liye Roye Ham Yu Zaar Zaar
Wo Dekhkar Meri Aankhon Mei Aansu Gairon Sang Hasne Laga
Kehne Laga Aansu Mere To Ek Chalawa Hai
Koi Pyaar Nahi Hai Hame Unse Ye Pyaar Jatane Ka Bas Dikhawa Hai
Sunkar Unke In Alfaazon Ko Laga
Jaise Unko Hamse Bichadne Ka Gam Kuch Jyada Hai
Aajkal Wo Hamse Najar B Milate Nahi
Kya Hai Unki Halat Ye B Hamko Batate Nahi
Kyu Chupate Hain Wo Hasi Mei Apne Dard Ko
Ye B To Wo Hamein Samjhate Nahi
Unhe Lagta Hai Jaise Ham Yu Hi Behal Jaayenge
Dekhkar Unki Hasi Unse Nafrat Karne Lag Jaayenge
Par Koi Zara Unse Kehde Jaake
Hamne Pyaar Kiya Tha Unse Koi Dikhawa Nahi
Unke Har Dhadkan Har Gam Ka Ehsaas Hai Hamein
Koi Samjhaye To Jaakar Unhe
Jis Tarah Kiya Tha Pehle Hamne Kabhi Unse Pyaar
Jis Tarah Kiya Tha Pehle Hamne Kabhi Unpe Aitbaar
Waise Hi Ab B Unse Pyaar Hai Hamein