Dango Mei Log Nasamajh Ban,
Khoon Ke Pyase Ho Dusaron Pe Barash Gaye,
Ye Dekha Nahi Kisi Ne Kii,
Kitne Hi Parivar Ekk Waqt Ke Khane Ko Taras Gaye.
Iss Tarah Ujari Unhone Bastiyan,
Kii Nahi Mili Hain Kaiyon Ki Asthiyan.
Ekk Ne Shuruat Kiya,
To Dusare Ne Bar Bar Aaghat Kiya.
Ekk Bar Bhi Jahan Hue Hain Dange,
Aaj Bhi Bachhe Wahan Ghoom Rahe Hain Nange.
Ye Khud Ko Kehte Hain Dharm Ke Thekedar,
Par Asal Mei Ye Hain Desh Ke Gaddar.
Insano Kii Khal Mei Janwaron Ke Beech Hum Reh Rahe Hain,
In Ghinaune Kamon Ke Bad Bhi Hum Khud Ko Insaan Keh Rahe Hain.