Daastaan-E-Zindagi Kya Hui?
Kabhi Jashn Kabhi Sazaa Hui
Jab Jab Tera Khyaal Hamien Aaya
Dil Se Har Baar Ek Duaa Hui
Uljhe Gesuu Wo Suljha Rahein Honge Kisee Aur Kay
Warna Kyon Mehki Mehki Fizaa Hui?
Syaahi-E-Shab-E-Gham Mein Doob Chala Tha Dil
Wo Aaya Ke Tamaam Zulmat Ravaan Hui
Teri Dosti To Ibaadat Tak Jaa Pahunchi
Mere Doston Se Na Aisii Khataa Hui
Abhi Ranjishon Ka Lutf Baaki Hai
Kya Hua Jo Dosti Fanaa Hui?
Aasmaan Par Likha Hai Us Ka Naam
Uski Hasti Baraabar-E-Khuda Huii
Aakhir Hue Ham Mehroom-E-Deedaar-E-Yaar
Qaamayaab Raqeebon Ki Duaa Hui
Be-Intehaa Shab Hai Mai Piyo Tanhaa
Dekha Jaayega Jab Kabhi Subah Hui