Chura Ke Hawa Ka Jhonkha Jab Gulon Ki Bu Guzarta Hai, Dil-E-Purarzoo Ko Lagta Hai Ke Tu Guzarta Hai.
Guzar Hua Hai Jahan Se Hazaar Haseen Ka Lekin Gulbadan Ba Sang-E-Dil Kabhoo Kabhoo Guzarta Hai.
Har Woh Shaqsh Pareshaan-O-Pasheman Nazar Aaya, Do Ghadi Jo Karke Tujhse Guftugoo Guzarta Hai
Maare Khauf Ke Aksar Neend Se Jaag Jaata Hoon, Ke Hothon Ko Chooke Jab Mera Aasoon Guzarta Hai.

Mausam-E-Baharan Baqa Hota Hai Sehra Main,Ke Jab Deed-E-Laila Kar Majnu Guzarta Hai.
Jata Hoon Maikade Ko, Main Jab Ke Dekh Loon,Saqi Karke Paak, Jaam-O-Subu Guzarta Hai.
Isse Aalaa Namuna-E-Ehtaraam Nahi Hai Ke Jab,Janaze Se Kinara Kar Ke Ek Saadhu Guzarta Hai.
Kyun Badhta Hai Mera Haath Phir Shamseer Ki Jaanibkhareedne Koi Kya, Gareeb Ki Aabroo Guzarta Hai
Chirag Mehfil Ka Bujhate Ho Jalate Ho Baar Baar,Iss Dil Ke Saath Yeh Haadsa Hoo Bahu Guzarat Hai.
Nahi Aati Unhe Awaaz Mere Nala-E-Dil Ki,Log Bezaar Hai Ke Yeh To Chaar Soo Guzarta Hai.
Usske Darr Tak Pahochne ‘Talib’ Kuch Yuun Guzarta Hai,Dil Tak Pahuchne Jaise Qatra-E-Khoon Guzarta Hai.