Choobhney Lagey Sheesha-E-Dil Ke Tookrey Seeney Mein Teri Khatir Ye Ghum Key Daur Aur Sahi
Bezubaan Nahi, Behisi Hai Bas Labon Pe Teri Sarghoshiyon Ka Saath Ho, To Kamosh-E-Dahan Key Daur Aur Sahi
Bin Paye Hi Khona Naseeb Hai Humara Baharon Mein Khaaksaar-E-Chaman Key Daur Aur Sahi
Teri Berukhi Bhi Ab Luutf Deitii Hai Humein Terey Saharey, Ghum Key Daur Aur Sahii

Humein Na Naseeb Howa Daaman Yaar Kan Duuriyan Sahi, Is Bedil Lagan Key Daur Aur Sahi
Sheher-E-Dil Loot_ta Gaya Waqt Roz Bar Oz Khazano Ki Talaash Mein Muflis-E-Aman Key Daur Aur Sahi
Is Qadar Chonka Diya Teri Judaii Ney Humein Kamzor Howey, Faulad-E-Man Key Daur Aur Sahi
Terey Ehsaan Ataa Kartey Kartey Umr Beet Jaye Youn Key Akhrii Saans Tak Tamanna Rahey Gi, Janaza-O-Kafan Key Daur Aur Sahi
Suna Tha, Zakhm Jaisey Bhi Hon Bharna Fitrat Hai Unki Ye Maujzaa Tarashtey Gaye, Key Zakham Key Daur Aur Sahi