Chman Main Phul Hajaron Khile
Khshbu Khushnasib Ke Nasib Main Aayi Hai
Indradhnush K Rang Ai Saath Ye Kaha Se Anokhe Rang Le Aayi Hai
Jiski Duniya Main Ye Jaye Rango Se Sajaee Hai
Pariyon Si Surat Hai Pyari Seerat Bhi Un Si Paayi Hai
Jane Kaha Se Sabke Dukh Main Saya Ye Ban Jati Hai
Bahon Main Kabhi Leti Hamko , Kabhi Godi Main Sulati Hai
Kabhi Banti Hai Dost To Kabhi Bahan Ban Jati Hai
Maa Ke Roop Main To Yaron Ye Khuda Ki Parchayee Hai
Pariyon Si Surat Hai Pyari Seerat Bhi Un Si Paayi Hai
Muskara Kar Muskilon Main Bhi Bhati Ho Aviral
Andhiyare Main Se Nayi Rah Dikhati Ho Pal Pal
Chup Rahkar Bahut Kuch Kahe Jana ,Kuch Kahkar Fir Chup Ho Jana
Is Matlabhi Duniya Main Rahkar Man Hai Bachho Sa Nichal
Jo Hai Samjha Wo Hi Samjha In Baton Main Kitni Ghraayee Hai
Pariyon Si Surat Hai Pyari Seerat Bhi Un Si Paayi Hai
Dekhi Nahi Pahile Kabhi Aesi Muskarati Aankhen
Itni Saadgi Aur Her Ek Ke Liye Faili Bahaen
Hasnti Ho Jeese Koi Khilta Hua Phul
Koi Nanha Bachha Khud Main Hi Mashgul
Dua Hai Meri Tum Hanso Chal Chal
Sabke Dilo Main Tum Baso Her Pal
Hansi Tumhari Lage Door Baje Shanee Hai