Chitthi Aayi Hai Aayi Hai
Chitthi Aayi Hai
Chitthi Aayi Hai Vatan Se
Chitthi Aayi Hai
Bade Dinon Ke Baad
Hum Bevatnon Ko Yaad
Vatan Ki Mitti Aayi Hai
Upar Mera Naam Likha Hai
Andar Ye Paigham Likha Hai
O Pardes Ko Jaane Vaale
Laut Ke Phir Na Aane Vaale
Saat Samundar Paar Gaya Tu
Humko Zinda Maar Gaya Tu
Khoon Ke Rishte Todh Gaya Tu
Aankh Mein Aansoo Chhodh Gaya Tu
Kum Khaate Hain Kum Sote Hain
Bahut Zyaada Hum Rote Hain
Sooni Ho Gaeen Shehar Ki Galiyaan
Kaante Ban Gaeen Baag Ki Kaliyaan
Kehte Hain Saawan Ke Jhule
Bhool Gaya Tu Hum Nahin Bhoole
Tere Bin Jab Aayi Diwali
Deep Nahin Dil Jale Hain Khaali
Tere Bin Jab Aayi Holi
Pichkaari Se Chhooti Goli
Peepal Soona Panghat Soona
Ghar Shamshaan Ka Bana Namoona
Fasal Kati Aayi Baisakhi
Tera Aana Reh Gaya Baaki
Pehle Jab Tu Khat Likhta Tha
Kaagaz Mein Chehra Dikhta Tha
Band Hua Yeh Mel Bhi Ab To
Khatam Hua Yeh Khel Bhi Ab To
Doli Mein Jab Baithi Behna
Rasta Dekh Rahe The Naina
Maein To Baap Hoon Mera Kya Hai
Teri Maan Ka Haal Bura Hai
Teri Biwi Karti Hai Seva
Soorat Se Lagti Hai Bewa
Toone Paisa Bahut Kamaaya
Is Paise Ne Desh Chhudaaya
Panchhi Pinjra Todh Ke Aaja
Desh Praya Chorr Ke Aaja