Chhalke Hai Aankhein, Tarse Hai Mann Yeh
Ruki Hui Hai Dhadkan, Ruki Ruki SaanseinƒÂ-
Dagmagaa Rahii Hoon Main Phir Chalte Chalte
Mujhe Thaamaa Tha Mere Bachpan Mey Jaisey
Gudiaa Ko Apni Apna Haath Phir Thamaa DeyƒÂ-
Baabul Mujhey Phir Sey Tu Apne Paas Bula LeyƒÂ-
More…Woh Aangan Ka Jhoola Kya Ab Bhi Pada Hai
Woh Tulsii Ka Paudha Kya Ab Bhi Khada HaiƒÂ-
Woh Satrangii Chhatrii, Woh Baarish Ka Mausam
Kaagaz Ki Kashtii Phir Mere Liye Ek Bana DeyƒÂ-
Ek Baar Mujhko Phir Sey Woh Bachpan Lauta DeyƒÂ-
Baabul Mujhey Phir Sey Tu Apne Paas Bula LeyƒÂ-
Woh Gudiya Ki Kangghee, Woh Khel Khiloney
Woh Mera Takiyaa Aur Woh Mere BichhoneyƒÂ-
Meri Kuch Kitaabein Thii, Kuch Adhoore Sapne
Sapne Woh Mujhko Ek Baar Phir Sey Lauta DeyƒÂ-
Yaa Saamaan Mera Ganga Mey Bahaa DeyƒÂ-
Baabul Mujhey Phir Sey Tu Apne Paas Bula LeyƒÂ-
Kaise Jigar Ke Tukde Ko Kar Diya Tuney Paraaya
Doli Ke Waqt Tuney Jab Kalejey Se Lagayaa
Maine Sunaa Thaa Baabul Tera Dil Ro Raha Tha
Kaise Rotey Dil Ko Tuney Phir Thaa ManaayaaƒÂ-
Baabul Waise He Dil Ko Ek Baar Phir Tu Mana LeyƒÂ-
Baabul Mujhey Phir Sey Tu Apne Paas Bula LeyƒÂ-
Lagi Thhartharaane Jab Lau Zindagi Ki
Maine Lakh Tujhko Diye Thhe Ishaare
Maa Ko Bheji Thi Khat Mey Ek Kali Murjhaayi
Bheji Naa Raakhi, Chodh Di Bhai Ki Sooni KalaaiƒÂ-
Magar Betii Tumhari Ho Chuki Thii Parayii
Shayad Naseeb Apna Samjhaa Naa Paayii
Aakhiri Baar Meri Aaj Tum Phir Kar Do VidaaiiƒÂ-
Lekin Vidaaii Se Pehle Apni Nazar Mey Basaa LeyƒÂ-
Baabul Mujhey Phir Sey Tu Apne Paas Bula LeyƒÂ-
Mujhey Khaakh Kar Ney Ko Chala Thaa Jab ZamaanaƒÂ-
Kyon Roye Thhe Tum Bhi, Mujhey Yeh Bataana
Aankhon Mey Ab Naa Aansoo Phir Sey LaanaaƒÂ-
Bhatakti Hai Ruuh Meri, Tere Pyaar Ko Phir SeyƒÂ-
Maathhey Pey Haat Rakh Kar Meri Ruh Ko Sulaa DeyƒÂ-
Baabul Mujhey Phir Sey Tu Apne Paas Bula Ley