Chhaant Maazi Kii Ret Se Kuchh Pal Main Hoon Laaya
Dekhne Kyaa Kucch Inme Maine Khoya Aur Paaya
Hua Kahaan Se Shuru Tha Yeh Taveel Safar
Kaunsi Raahon Se Guzar Hoon Main Yahaan Aaya
Mile Insaan Mujhe Kucch Aise Begaanon Kii Tarah
Begaana Mil Jinse Nazar Aaya Mujhe Apna Saaya
Hum-Raahi Mile Safar Mein Wahiin Kucch Aise Bhii
Khushboo Ne Jinkii Saaanson Ko Meri Mehkaaya
Pal Aise, Yaad Kar Jinko Khud Pe Hans Main Doon
Aur Woh, Sparsh Jinka Aankhon Ne Hain Chhalkaaya
Modh Pe Aa Zindaagi Kuch Pal Ke Liye Thhehri To Sahi,
Fir Kucch Sambhal Kadam Aage Mujhse Rakhvaaya
Mitti Geelii Thhii Mere Paanv Ke Neeche Kii To Kyaa
Nishaan Apne Paanvon Ke Kahiin To Banaa Paaya
Safar Ye Lamba Hai, Manzil Merii Kucch Door Sahii
Raafta Raafta Khud Ko Yahan Tak Hai Pahunchaaya