Chezo Me Cheeze Kuch Aise Hongi
Bato Me Kuch Batien Aisi Hongi
Jinhe Hum Dekh Nahi Pahenge
Ekisve Sadi Me Dundate Reh Jayenge…..
Bacho Me Bachpan
Jawano Me Yovan
Sishe Me Darpan
Jeevan Me Sawan
Ghav Me Aakada
Sahar Me Singhada
Table Ki Jagah Pada
Aur Payjame Me Nada…..
Dundate Rah Jaoge
Ankhon Me Pani
Nani Ki Kahani
Pyar Ke Do Pal
Nal Nal Me Jal
Santo Ki Vani
Karan Jaisa Dani
Manvta Ka Samman
Padhosi Ki Pehchan
Rashik Ka Gyan
Brij Ka Fag
Aag Me Aag
Taraju Me Batta
Aur Ladkiyo Ka Dupatta
Dundate Reh Jaoge
Bharat Sa Bhai
Lakshman Sa Abhilai
Chudi Bhari Kalayi
Sadi Me Sehnayi
Burai Me Burai
Sach Me Sachayi
Manch Par Kavitai
Gareeb Ki Kholi
Agan Me Rangoli
Paropkari Bande
Aur Aarti Ko Kande
Dundate Reh Jaoge…
Aapas Me Pyar
Bhala Pura Pariwar
Neta Immandar
Sau Rupaye Ydhar
Kaal Me Aaj
Sangeet Me Riyaz
Baat Cheet Ka Riwaz
Dosti Me Lihaz
Sadak Kinare Pyau
Aur Uncle Ki Jagah Chacha Tau
Dundate Reh Jaoge…..
Biwi Jo Sahi Rah Dhiklaye
Kanoon Jo Uchit Nyay Dilaye
Aisa Baap Jo Bete Ko Samjhaye
Aur Aisa Beta Jo Samajjaye
Dundate Reh Jaoge……….
Nehru Jaisi Izzat
Subhash Jaisi Himmat
Patel Ke Irradhey
Shastri Sidhe Sadey
Panna Dyay Ka Tyag
Mahrana Pratap Jaisa Aag
Ashok Ka Bhairag
Tanseen Ka Raag
Chankya Jasia Nithigyan
Vivek Jaisa Swabhiman
Indra Gandhi Jaise Bold
Aur Mahatma Gandhi Jaise Gold
Dundate Reh Jaoge…..