Chehra Mera Tha Nigahein Uski
Khamooshi Me Bhi Thi Baatein Uski
Mere Chehre Par Gazal Likhti Gai
Sher Kehti Hui Aankhein Uski
Surkh Lamho Ka Pata Dene Lagi
Teez Hoti Hui Saanse Uski
Aese Maosam Bhi Guzaare Hamne
Subah Jab Apni Thi Shaamein Uski
Dhyaan Me Uske Ye Aalalm Tha Kabhi
Aankh Maahtaab Ki Yaadein Uski
Khud Pe Phi Kabhi Na Ho Jiski Najar
Jaanta Kaon Jabaane Uski
Neend Is Sooch Se Toote Aksar
Kis Tarah Kat-Teen Hain Ratein Uski
Door Rah Kar Bhi Sada Rahti Hain
Mujhe To Thaame Hue Bahein Uski