Charo Taraf Noor Chhaya, Aaqa Ka Milad Aaya.
Khusiyo Ka Paigam Laaya, Aaqa Ka Milad Aaya.
Shamso Qamar Aur Taare, Kyun Na Ho Khush Aaj Sare,
Unse Hi To Noor Paya, Aaqa Ka Milad Aaya.
Dil Jagmagane Lage Hai, Sab Muskura Ne Lage Hai
Ek Kaif Sa Aaj Chaya, Aaqa Ka Milad Aaya.
Khusiya Manate Hai Wohi, Dhoome Machate Hai Wohi,
Jinpar Hua Unka Saaya Aaqa Ka Milad Aaya.
Ghar Ko Sajate Hai Wohi, Jhande Lehrate Hai Wohi,
Jinpar Hua Unka Saaya Aaqa Ka Milad Aaya.
Hai Shaad Kar Ek Musalman Karta Hai Ghar Ghar Charaga,
Galiyo Ko Bhi Jagmagaya Aaqa Ka Milad Aaya.
Mukhtar E Kul Mane Jo Unhe, Noorie Bashar Jaane Jo Unhe,
Naara Oosi Ne Lagaya Aaqa Ka Milad Aaya.
Gaushul-Warah Aur Khwajane, Mere Raza Aur Daata Ne,
Sabne Hi Deen Ye Manaya Aaqa Ka Milad Aaya.
Naaten Nabi Tum Sunao, Ishq-E-Nabi Ko Badhao,
Humko Raza Ne Sikhaya Aaqa Ka Milad Aaya.
Jisko Shajar Jaante Hai, Kehna Hajar Mante Hai,
Aisa Nabi Humne Paaya Aaqa Ka Milad Aaya.
Kar Aye Ubed Unki Midhat, Tuj Per Khuda Ki Hai Rehmat
Tune Muqaddar Ye Paaya Aaqa Ka Milad Aaya