Chandni Tha Ghazal Tha Ke Saba Tha Kya Tha
Maine Ek Baar Tera Naam Suna Tha Kya Tha
Khudkhushi Karke Bhi Subha Bistar Se Utha Hon Zinda
Maine Kal Raat Ko Jo Zaher Piya Tha Kya Tha
Tum To Kahete Thi Khuda Tum Se Khafa Hai Qadeer
Doobte Waqt Ek Haath Utha Tha Kya Tha
Chandni Tha Ghazal Tha Ke Saba Tha Kya Tha
Maine Eak Baar Tera Naam Suna Tha Kya Tha