Chand Lamhon Ki Zindagani Hai
Nafraton Se Jiya Nahi Karte
Lagta Hai Dusamanon Se Guzarish Karni Padegi
Dost To Aab Yaad Kiya Nahi Karte
Hume Hasne-Hasane Ki Aadat Hai
Nazron Se Nazar Milane Ki Aadat Hai
Par Hamari To Nazar Unse Hai Ja Mili
Jinhe Nazar Zhukake Sharmane Ki Aadat Hai
Bahut Dur Magar Bahut Paas Rehte The Tum
Aankho Se Qareeb Magar Dil Se Dur Ab Rehte Ho
Mujhe Bas Itna Bata Do Kya Tum Bhi Mere Bina Udaas Rehte Ho??
Nahi Na Tum Bhala Mere Begair Udaas Kio Rehne Lago
Tum To Mujh Se Nafrat Karne Lagi Ho Ab
Gar Thi Kuj Aise Hi Baat K Tuje Pasand Koi Aur Tha To
Tu Ne Kio Hamara Ye Rishta Jorne Se Pehle
Muujhe Sare Sachai Na Bata Ker Tune Aye Zalim Jurm Kiya Hei
Aur Tujhe Mein Ab Kabhi Muaf Nai Karoonga
Ja Tujhe Main Apne Zindgi Apne Dil Se Nikaalta Hoon
Ai Mere Humnashin Chal Kahin Aur Chal
Is Chaman Mein Ab Apna Guzaara Nahin
Baat Hoti Gulon Tak To Seh Lete Hum
Ab To Kaanton Pe Bhi Haq Hamara Nahin
Koi Ankhon Se Baat Kar Leta Hai
Koi Ankhon Mein Mulakat Kar Leta Hai
Bada Mushkil Hota Hai Jawab Dena
Jab Koi Khamosh Rehkar Sawaal Kar Leta Hai
Kaun Jane Kab Maut Ka Paigam Aa Jaye
Zindagi Ki Akhari Sham Aa Jaye
Hum Toh Dhundhte Hain Waqt Aisa Jab
Aapki Zindagi Hamare Kam Aa Jaye