Chaman Mein Subah Ye Kahti Thii Ho Kar Chashm-E-Tar Shabnam,
Bahaar-E-Baagh To Yun Hii Rahi, Lekin Kidhar Shabanam.
Arq Kii Bund Us Kii Zulf Se Rukhsaar Par Tapki,
Taajjub Kii Hain Jaage Yeh Pari Khurshid Par Shabnam.
Hamen To Baagh Tujh Bin Khaana-E-Maatam Nazar Aya,
Idhar Gul Phaarte The Jeb, Roti Thi Udhar Shabnam.
Kare Hai Kuchh Na Kuchh Taasir Suhbat Saaf Tabon Ki,
Hui Aatish Se Gul Ke Baithte Rashk-E-Sharar Shabnam.
Bhala Tuk Subah Hone Do Ise Bhi Dekh Levenge,
Kisi Ashiq Ke Rone Se Nahin Rakhti Khabar Shabnam.
Nahin Asbaab Kuchh Laazim Subak Saaron Ke Uthne Ko,
Gayi Ur Dekhte Apne Baghair Az Baal-O-Par Shabnam.
Naa Paaya Jo Gaya Iss Baagh Se Hargiz Suraagh Uska,
Naa Palti Phir Saba Idhar, Naa Phir Aai Nazar Shabnam.
Naa Samjha Dard Ham Ne Bhed Yaan Kii Shadi-O-Gam Kaa,
Sahr Khandaan Hai Kyon, Roti Hai Kis Ko Yaak Kar Shabnam