Chaman Mein Jang Jaaree Hai: Hamain Kahnaa Hai, ‘Kuch’ Tum Sey!
Jigar Tak Bey-Qaraaree Hai: Hamain Kahnaa Hai, ‘Kuch’ Tum Sey!!
Siyaasatbaaziyoun Mein Waqt Zaaye Mat Karo, Pyaarey!
Shahaadat Ab Bhi Jaaree Hai: Hamain Kahnaa Hai, ‘Kuch’ Tum Sey!
Hamaaree Jaan Sey Zyaadah, Hamain Mouzoon Hai Aazaadee:
‘Ubhain’ Chintaa Hamaaree Hai: Hamain Kahnaa Hai, ‘Kuchh’ Tum Sey!
Yahaan, Ham Chain Sey Hain; Par, Wahaan ‘Unko’ Hain Takleefain:
Shab-O-Din Golibaaree Hai: Hamain Kahnaa Hai, ‘Kuchh’ Tum Sey!
Wahaan Par, Sharhadoun Ki Chouksee Ka Kaam Hai Mushkil;
Tumhain Bakwaas Pyaaree Hai: Hamain Kahnaa Hai, ‘Kuch’ Tum Sey!
Marey Hain Poot Kitnoun Key? Huyeen Hain Kitnee Vidhwaayeyn?
Ajab Haalat Tumhaaree Hai? Hamain Kahnaa Hai, ‘Kuch’ Tum Sey!
Hamaarey Foujiyoun Ney, Jaan Bhi Yeemaan Key Khaatir,
Hatheylee Par Utaaree Hai: Hamain Kahnaa Hai, ‘Kuchh’ Tum Sey!
Woh Jagtey Hain Hamaarey Waasitey: Bey-Khouf Sotey Ham!
Ajab Yeh Zimmeydaaree Hai: Hamain Kahnaa Hai, ‘Kuch’ Tum Sey!
‘Abd’, Woh, Khud Ko, Daaley Jokhimoun Mein, Zakhm Khaatey Hain:
Jagey Hai, Shab‚  Guzare Hai: Hamain Kahna Hai, ‘Kuch’ Tum Sey!’