Chale Kahan Chhalni Karke Mere Seene Ko;
Abhi To Waki Hai Khoon -E- Ziger Peene Ko.
Shukra -E- Khuda K Apna Haal To Bus Gumzada Hai;
Log Tarse Bewashi Mein Jehar Peene Ko.
Bus Teri Aarzoo Mein Jee Loonga;
Chand Sansein Hi Sahi Kuchh To Mile Jeene Ko.
Bichhadke Tujhse Huye Waqt Se Mukhatib Hum;
Kaun Ginta Tha Warna Saal Chheh Maheenon Ko.
Teri Aabaj Parindon Ko Uda Sakti Hai;
Per Hila Sakti Nahi Shaakh Se Nasheman Ko.
Jismein Na Aaya Tera Aks Kabhi;
Khuda Bachaye Aise Paakdil Aaine Ko.
Kya Aise Mein Use Bhoolna Aasan Hai Mastghan.
Jo Jakhm Kuchh De Gaya Hai Seene Ko.