Chala Main Jab Bhi Ek Kadam Teri Taraf,
Jaane Ye Faasla Kaise Aur Badh Gaya,
Main To Saath Hi Chalta Raha Tere,
Jaane Kaise Phir Tu Aage Nikal Gaya,
Tum To Mere Har Khwaabon Mein Baste The,
Tum To Har Pal Meri Baahon Mein Rehte The,
Kya Wajah Hai Jo Ab Tum Kareeb Nahin Aate,
Ab Kyon Dard Bankar Meri Aankho Se Behte Ho,
Shaam Ho Tanhaayi Ki, Ya Phir Raat Ho Siskiyon Ki,
Har Pal Haath Uthaa Kar Tujhe Hi Maanga Maine,
Gham Ne Kar Liya Hai Kaid Mujhe Is Andhere Me,
Par Tum To Roshni Ke Liye Mera Dil Jalaaye Baithe Ho,
Hontho Par Tere Rahe Hum Humesha Saans Ki Tarah,
Machalte Rahe Hum Tere Dil Mein Jazbaat Ki Tarah,
Ek Pal Bhi Ganwaara Nahin Hota Tumhe Dekhe Bagair,
Par Jaane Tum Kis Duniya Mein Apna Dil Lagaye Baithe Ho,
Use Tumhari Duniya Chhod Gaye Huye Zamane Par,
Ek Tum Ho Ke Ab Bhi Aas Lagaaye Baithe Ho.