Chakor Ne Apne Chaand Se Kya Kaha Hai
Ki Chaand Ne Sharma Kar Apni Roshni Se
Is Zameen Aur Aasmaan Ko Roshan Kiya Hai
Parwaane Ne Apni Shama Se Yeh Kya Kaha Hai
Ki Shama Pehle Se Bhi Jyada Chamak Rahi Hai
Har Taraf Ujaala Hi Ujaala Hai
Bhawre Ne Phool Ke Kaan Mein Kuch To Kaha Hai
Jo Sabhi Phoolon Se Badhkar Khila Hai
Muskura Kar Apni Khushi Zaahir Kar Raha Hai
Taare Bhi Apne Aasmaan Par Bikhre Hain
Jagmagaate Hue Jhilmilaate Hue
Har Ore Roshni Hi Roshni Hai
Yeh Lehar Apne Saahil Se Kya Kehna Chahti Hai
Jo Paas Aakar Bhi Door Ho Jaati Hai
Be-Iraada Peeche Hat Jaati Hai
Is Ankahe Ehsaas Ka Naam Kya Hai
Kyun Yeh Zameenaasamaanchaandsitaare
Phool Aur Bhawre Saahil Aur Lehar
Isi Ehsaas Mein Jee Rahein Hai
Kya Kehte Hain Is Ehsaas Ko
Shayad Yehi To Pyar Hai