Chahte To Hum Bhi Hai Ki Keh De Hal-E-Dil Unko,
Par Kuch Fasane Sirf Nigaho Se Baya Hote Hai
Is Ishk Ko Nahi Alfazo Ki Zaroorat Koi
Mohabbat Ke Fool To Khamoshi Mein Javan Hote Hai
Mita De Jo Khud Ko Shama Ke Ek Ishare Par
Aise Nasamajh Parvane Aajkal Kahan Hote Hai
Vo Dil Nahi Ek Patthar Ka Tukda Hai
Nahi Jisme Do Char Jakhmo Ke Nisha Hote Hai
Dil Ke Sath Sath Jaan Bhi Nikalti Maloom Hoti Hai
Jab Kisi Bat Par Vo Hamse Khafa Hote Hai
Lakh Kahe Koi Ki Kya Rakkha Hai Aashiqui Me
Par Ye Aashiq Duniya Se Sada Beparwah Hote Hai
Karta Rahe Koi Lakh Talash Khuda Ki
Hum To Jinhe Chahte Hain