Chah Bhari Aankhon Mein Anokhe Se Sapne Liye ,
Door Se Hee Khilkhilaate Apne Hum-Umr Ko Dekh,
Apne Bhaagye-Vidhata Se Masoom Sawaal Poochhta,
Sadak Pe Hee Apne Sapne, Apni Hansi Dhoondta ,
Sisakta Vo Dard Tanha Sa !
Har Saakshaatkaar Mein Ekk Nayi Umeed Liye,
Puraani Haar Ko Bhool Nayi Jeet Kii Aas Mein ,
Apni Kaabiliyat Ko Naye Sire Samet.Ta,
Anubhavheenta Se Aksar Ulajhta,
Khud Ko Saabit Kar Dikhaane Kii Lalak Liye,
Ekk Adad Mauke Kii Talaash Mein ,
Tadapta Vo Dard Tanha Sa !
Nazar Kii Pahunch Se Oonchi Imaarat Banakar,
Tarasta Hain Vo Ekk Chhat Ke Liye,
Har Eent Pe Aas Bhari Nazar Lagaaye,
Thithurti Sardi Aur Kadakti Dhoop Mein,
Pighalta Vo Dard Tanha Sa !
Bachpan Se Jawaani Tak Sapno Me Rangi,
Ekk Khoobsoorat Sansaar Kii Kalpana Liye,
Mehsoos Karta Zindagi Kii Sachhaaayi Ko,
Utaar Chadaaw , Un Rishto Kii Gehraayi Ko,
Parakhta Vo Dard Tanha Sa !
Sehmi Si Purush Pradhaan Samaaj Se,
Bina Kisi Bhed Ke Mamta Ko Samete,
Nirmal Pyaar Liye Apni Laadli Ke Liye,
Zamaane Kii Nafrat Se Bachaata Hua,
Bilakhta Vo Dard Tanha Sa !
Umr Ko Ni Chhod Kar Parwarish Mein Uski,
Dutkaar Ko Uski Pyaar Mein Bhulakar,
Aaj Is Padaaw Per Ummeed Lagaaye,
Sannaate Mein Har Guzarte Lamhe Ke Saath,
Simat.Ta Vo Dard Tanha Sa !
Inhi Thokro Ko Jhel Sakhtjaan Sa,
Roz Ekk Naye Josh Ke Saath,
Waqt Ke Saath Hamqadam Hoker,
Khud Mein Samete Kitne Hii Dard,
Sambhalta Vo Dard Tanha Sa !