Chaand Tum Bhi Tanha Tanha Kyu Rehte Hai
Apna Gum Chupane Ke Liye Hum
Tumhare Gum Ke Bahane Tanha Tanha Rehte Hain
Humare Rone Par Koi Gum Nahi Karta
Tumhare Rone Par Asmaan Tanha Tanha Sa Ho Jaata Hai
Humare Mehfil Mein Aane Se Raunak Chali Jaati Hai
Tumhare Chup Jaane Se Mehfile Tanha Tanha Ho Jati Hai
Hamari Muskurahat Logo Ko Berang Kar Deti Hai
Tumhare Muskurane Se Lakho Fasane Ban Jaate Hai
Ik Rah Par Uljhi Sochti Hoon Ki
Tum Mera Saath Nibhane Ko Ho Aaye
Tumhari Yadon Ke Saath‚  Mere Bhi Dard Purane Nikal Aaye
Humara Gum Chupane Ke Liye Aaj Humein
Tumhare Gum Ke Bahane Kitne Ansoo Bahaye