Chaand Ki Tarah Thande The Jo Pal
Hizr Main Taseer Badal Rahe Hain
Zindgi Ek Aag Main Jal Rahi Hai
Lamhe Sab Pighal Rahe Hain
Jinko Meree Tabahee Ka Intazar Tha
Main Mita To Chehre Badal Rahe Hain
Meree Fana Ka Sabab Tu Hai Jo Un Ko Ras Nahi
Main Jal Raha Hun To Woh Jal Rahe Hain
Ankhen Meree Tere Gamon Ka Ghar Hai
Ansu Tere Hain Jo Yahan Pal Rahe Hain
Log Dhuyan Dekh Ke Soch Rahe Hain Kahan Jayen
Makeen Bachayen Ki Makan Bacahayen
Meree Ankhon Ke Aab Se Jo Bujhee Nahee
Us Aag Ke Liye Panee Kahan Se Layen
Ab To Tamasha Dekhte Hain Puchte Hain
Dur Khare Bas Yahee Sochte Hain
Ankh Jal Rahee Hain Ki Ansu Jal Arhe Hain
Chaand Kee Tarah Thande The Jo Pal
Hizr Main Taseer Badal Rahe Hain