Chaahtaa Hoon Nadi Ban Jaaun..
Har Yaad Jismein Beh Jaaye Pani Kee Tarah..
Her Gam Jismein Reh Jaaye Reth Kee Tarah..
Her Khwaahish Her Aarzoo Har Tamanna
Duub Jaaye, Mar Jaaye
Chaahtaa Hoon Samandar Ban Jaaun..
Samet Loon Saare Jahaan Kaa Dard
Khud Mein Khaamoshi Se Chup Chaap
Har Ashq Ko Lehron Kii Tarah Sajaa Loon
Khud Mein Wafaadaari Se Chup Chaap
Har Gham Kii Aati Neher Mujhme Fana Ho Jaaye
Har Sahil Mujhe Chhu Ke Muskuraaye
Chaahta Hoon Itna Gehraa Ho Jaaun
Kii Gehraayi Bhii Hadd Paa Naa Sake Meri
Chaahta Hoon Itna Gehraa Ho Jaaun..
Khud Ko Bhii Jhaank Ke Dekh Na Sakun Kabhi
Chaahtaa Hoon Teri Rooh Ko Bana Loon Seep
Aur Ban Jaaun Moti Usmein..
Chaahtaa Hoon Teri Tasweer Kaa Koi Rang Ban Jaaun
Chaahtaa Hoon Ki Ik Ehsaas Hii Ban Jaaun
Tujhe Chhu Ke Dekhne Kaa Chaahtaa Hoon Ekk Ashq Hii Ban Jaaun
Tujhe Paane Kii Khushi Kaa
Itna Gehraa Samandar Ban Jaaun..
Itni Tez Rawaan Nadi Ban Jaaun..
Bahaa Ke Rakh Doon Har Mushkil Ko
Dabaa Ke Rakh Doon Har Zakhmi Manzil Ko
Chaahta Hoon Koi Baadal Ban Jaaun
Jo Bhar Le Kayi Raaz Zamaane Ke
Chaahta Hoon Chaand Ban Jaaun
Jo Zapt Kar Le Kayi Khofnaak Nazaaron Ko
Chaahta Hoon Mausam Ban Jaaun
Jo Kabhi Kisi Ke Liye Ruka Nahi
Chaata Hoon Hawaa Ho Jaaun
Jo Kabhi Ekk Pal Ko Thaki Nahi
Chaahta Hoon Dhund Kii Tarah
Dhak Loon Har Khwaahish Ki Laash
Chaahta Hoon Raat Kii Tarha
Rang Loon Har Us Laash Kii Fariyaad
Chaahta Hoon Ki Ban Jaaon Koi Gufaa Andheri
Jisme Dafn Hon Kayi Raaz
Chaahta Hoon Ban Jaaun Jungle Bhayaanak
Jismen Kaid Ho Koyi Aawaaz
Chaahtaa Hoon Jalaa Doon Ye Aasmaan Ye Zameen
Ye Sitaare Ye Chaadni Bhii
Ya Jal Jaaun Khud Aur Inko Jalaa Samjhoon
Chaahtaa Hoon Mitaa Doon
Har Yaad Har Tadap Har Khwaahish Dil Ki
Har Siski Har Behta Lahoo Kaa Katraa
Ya Khud Mitt Jaaun Aur Inko Mita Samjhoon
Chaata Hoon Bujha Doon
Har Wo Manzar, Tere Aane Kaa
Tere Aane Kaa Fir Tere Jaane Kaa
Tere Fir Laut Kaa Aane Kaa
Tere Fir Chhod Ke Jaane Ka
Chaahtaa Hoon Bujha Doon
Har Saans Har Dhadkan Har Ummeed Har Bahaana
Ya Khud Bujh Jaaun Aur Inko Bujha Samjhoon
Chaahtaa Hoon Tere Aane Par Waqt Thaam Loon
Thaam Ke Rakhoon Qayaamat Aane Ke Baad Bhi
Chaahta Hoon Waqt Ban Jaaun Aur Khud Hi Tham Jaaun
Chaata Hoon Ekk Yaad Ban Jaaun
Aur Mehkun Khushboo Kii Tarah
Chaahta Hoon Chaahta Hoon Chaahta Hoon
Par Kyu Fir Ye Ho Nahi Paata
Main Khul Ke Ak Baar Ro Nahi Paata
Chaaha Tha Nadi Banoon Chaaha Tha Samandar Banoon
Fir Kyu Baarish Sa Banta Jaata Hoon
Kyu Pal Pal Bikharta Jaata Hoon
Kyu Baarish Sa Banta Jaata Hoon.
Chaahta Hoon Tasweer Ban Jaaun
Aur Dhool Se Dhak Jaaun
Chaahta Hoon Khwaab Banke Tujhe Yaad Aaun
Aur Kuchh Der Baad Toot Jaaun
Chaahta Hoon Banoon Ek Mashaal
Duniya Ko Roshan Kar Jaaun
Chaahta Hoon Har Shaye Noor Se Mehke
Chaahe Khud Hi Jal Jaaun
Chaahta Hoon Falak Pe Likh Doon Naam Gumnaam Sa
Chaahta Hoon Ya Falak Hi Noch Daalun
Chaahta Hoon Khuda Ko Pukaarun
Chaahta Hoon Ya Khuda Ko Bhi Raund Daalun
Chaahta Hoon Ek Chhote Se Muskuraate Bacche Kii
Meethi Si Muskaan Ban Jaaun
Chaahta Hoon Kisi Sehme Hue Kamzor Kii
Halki Lekin Gehri Udaan Ban Jaaun
Chaahta Hoon Chheen Loon Tujhe Is Jahaan Se
Chaahta Hoon Ya Khud Hi Se Khud Chhin