Chaahat Ko Meri Thukra Kar Dete Hain Woh Zakhm
Phir Chaahat Bhari Nigaahon Se Dekhkar Dete Hain Woh Marham
Hai Kaisi Yeh Ada Unke Dil Dukhaane Ki
Ab To Aadat Si Ho Gayi Hai Humein Chot Khaane Ki
Haseen Khwaab Dikhaakar Kahaan Ho Gaye Woh Gum
Aur Bana Gaye Mere Jahaan Ko Jahannum
Bewafa Ho Kar Ho Gaye Woh Maqbool
Sachche Pyaar Ke Liye Unki Bewafaai Bhi Hai Kubool
Jaane Kahan Gaya Meri Kashti Ka Saahil
Raah To Hai Par Kho Gayi Manzil
Kis Haq Se Karoon Main Us Se Shikaayat
Jab Banaa Hi Nahin Silsila-E-Chaahat
Ek Hum Hain Ki Taras Rahein Hain Unke Ek Ikraar Ko
Aur Ek Woh Hain Jo Inkaar Karte Ja Rahe Hain Hamare Har Izhaar Ko
Ab Zindagi Mein Reh Gaya Hai Sirf Intezaar
Par Sochne Par Ehsaas Hota Hai
**Kahaan Poora Hua Hai Kisika Sachcha Pyaar? Huh?