Bus Yahi Lutf Hain Dilon Ke Khel Mein
Mohabbat Kerne Walon Ka Bus Itna Hi Hain Afsaana
Shiqv-E Shiqayaten Tadapna Tadpaana Mohabbat Ka Fasaana
Kabhi Iqraar To Kabhi Inkaar Chahe Jo Bhi Ho Anjaam
Kabhi Badnaam To Kabhi Ilzaam Chahe Jo Bhi Ho Inaam
Fir Bhi Kya Lutf Hain Ishqon Ke Khel Mein
Bus Yahi Lutf Hain Dilon Ke Khel Mein
Khatawaar Hain Haseena-E Jo Apne Jalwon Se Dil Chura Leti Hain
Warna Aashiq Log Mohabbat Mein Dil Khona Chahte Nahin
Diwane Shama Per Jalte Nahin Aashiq Hote Hain
Bewafaa Beshram Shama Jalati Hain Pervano Ko, Woh Bewafaaii Kerte Nahin
Fir Bhi Kya Lutf Hain Ishqon Ke Khel Mein
Bus Yahi Lutf Hain Dilon Ke Khel Mein
Unki Un Haseen Adaon Pe Hum Jaan Dete Hain
Yeh Unki Kaunsi Qaatil Ada Hai Jo
Woh Hamare Zanaze Ko Bhi Sahara Dete Nahin
Unke Deedar Ke Tasaavvur Mein Aankho Mein Binaai Aa Aagaii Hain
Basai He Chandsi Tasveer Unki
Hamari Nigaahon Mein Magar Roshni Aati Nahin
Fir Bhi Kya Lutf Hain Ishqon Ke Khel Mein
Bus Yahi Lutf Hain Dilon Ke Khel Mein
Gulon Ke Gulshan Mein Shabnam Ki Wafa Bahar Laati Hain
Pervanon Ke Gulshan Main Shama Ki
Wafa Khamoshi Laati Hain, Bahar Laati Nahin
Gulon Ki Wafaaon Per Bulbulen Naachti Aur Gun Gunati Hain
Shama Ki Bewaffaon Per Pervaane
Khamosh Ho Jaate Hain Gun Gunate Nahin
Fir Bhi Kya Lutf Hain Ishqon Ke Khel Mein
Bus Yahi Lutf Hain Dilon Ke Khel Mein
Unki Judaai Mein Hum Bhari Mehfil Mein
Tanha Tanha Nazer Aate Hain
Bhari Mehfil Mein Tanhaiiyaan Rulati Hain
Magar Ashk Nazer Aate Nahin
Aashiqon Ki Wafaon Se Haseeno Ke Chehre
Phoolon Ki Taranh Khilte Hain
Haseeno Ki Bewwafaiiyon Ke Aanshu Bhare
Baadlon Se Aashiqon Ke Dil Khilte Nahin
Fir Bhi Kya Lutf Hain Ishqon Ke Khel Mein
Bus Yahi Lutf Hain Dilon Ke Khel Mein
Kyon Shaayer Log Bayan Kerte Hain Aashiqon Ki Kuch Aiisi Daastaan
Kyon Zamaana Kehta Hain Khataawar Hai Paagal Hai Asshiq-E Insaan
Kya Shaayer Log Jaante Nahin Aadam Aur Hawwa Ki Daastaan
“Saahil” Ke Dil Mein Basa Hai Insaan, Nahi Farishtaa Nahi Shaytaan
Fir Bhi Kya Lutf Hain Ishqon Ke Khel Mein
Bus Yahi Lutf Hain Dilon Ke Khel Mein
Mohabbat Kerne Walon Ka Bus Yahi Hain Anjaam
Paagal Hain Majnu Hain Yeh Insaan Bus Yahi Hain Ilzaam
Mohabbat Kerne Walon Ki Bus Itni Hi Hain Daastaan
Hasnaa Rona Haarna Fanaa Hona Paana Na Kuch Bus Banke Rehna Khud Ek Daastaan
Fir Bhi Kya Lutf Hain Ishqon Ke Khel Mein.