Bilakhte Maoun-Pitaoun Ko, Deykhta Hoon Jab
Jism Key Chithrhey Sambhaaley Naheen Jaatey Jin Sey
Jigar Key Tukrhey Parhey, Seenchtey Hain Sarhkoun Ko
Lahoo Sey Maadar-E-Watan Keen, Shaheedoun Ki Tarah
Yeh Beygunaah Hain Wahee, Jin Ko Un Ney Qatl Kiyaa
Taqaatuly Key, Khoufnaak Diye Hain Farmaan
Un Ko Bahkaa Key Ki, Mazhab Kaa Paak Farz Yahee
Tum Ko Anzaam Pai Pahunchaa Key, Raah-E-Jannat Paa
Eik Lamhey Mein Khudaa Paak Tak Pahunchanaa Hai
Yeh Khaam Khyaal Jhonktaa Hai Unhain Dozakh Mein
Bagair Mout Key Hi Bhog Rahey Woh Dozakh
Aur Gaddar Kah Rahey Watan-Parast Unhain
Kar Rahey Chheyd Thaaliyoun Mein Jin Mein Khaatey Hain
Khudaa Karey Ki Noor-E-Toor Unhain Kar Roshan
Raah-E-Inssaniyat Pai Rahbaree Dey Paak Karey