Bikhre Ghar Bikhare Rishtoan Ke Saath
Alag Hua Insaan Apni Hi Insaaniyat Ke Saath
Zor Zor Se Hass Kar Dekho
Wo Udaane Laga Aurro Ka Mazak
Majburi Aur Lachari Dekh Kar
Dekho Hai Katraate Log
Sone Ke Chaand Tukdo Per
Appni Her Cheez Lutaate Log
Rote Ko Daman Dena
Kisi Ko Yahan Aata Nahi
Kushi Se Kisi Ko Jeene Dena
Kisi Ko Yaha Bhata Nahi
Ek Doosre Se Aage Nikalne Mein
Masroof Hai Yeh Log
Roti-Kapda -Makan
Yehi Sab Chahte Hai Log
Is Se Aaage Soach Pana
In Ke Liye Ab Mushkil Hai
Jo Kho Rahe Hai Ye
Wo Pana Ab Mushkil Hai
Khudha Ne Jo Inssan Banaya
Aaj Wo Badal Gaya Hai Kyun
Apni Apni Duniya Bana Kar
Us Mein Khudha Ban Betha Hai Kyun