Bichrey Hoye Kise Ko Zamana Guzar Gayaa
Is Dil Ki Baybasie Ko Zamana Guzar Gayaa
Dekhy Baghair Jis Kay Na Kat Ta Thaa Ak Pal
Dekhy Hoye Usy Usi Ko Ak Zamana Guzar Gayaa
Ummed-O- Khwab Wadeay, Dil-O-Jaam-Aaina
Tuty Hoye Sabhi Ko Zamana Guzar Gayaa
Ab Raaj Hay Yahan Pay Ghum -O-Hazan -O-Yaas Ka
Ruthy Hoye Hansie Ko Zamana Guzar Gayaa
Murjhha Gaye Such Kay Gulab
Mosam Ki Bey Rukhi Ko Zamana Guzar Gayaa