Bichar Kay Mujh Say Kubhi Tu Nay Yeh Bhi Socha Hay
Adhoora Chand Bhi Kitna Udaas Lagta Hay
Yeh Khatum Visal Ka Lamha Hay Raigaan Na Samjh
Keh Is Kay Baad Wo He Doorioon Ka Sihra Hay
Kuch Aur Dair Na Jharna Udasion Kay Shajar
Kisay Khabar Koon Tairay Saaiay Main Baitha Hay?
Yeh Rukh Rakhaoo Muhabbat Sikha Gaiee Usko Ko
Keh Rooth Kar Bhi Mujhay Muskura Kay Milta Hay
Main Kiss Tarah Tujhay Daikhoon Nazar Jhijhakati Hay
Yeh Budan Hay Keh Yeh Aainoon Ka Darya Hay
Kuch Is Qadar Bhi Tu Asan Nahi Hay Ishq Taira
Yeh Zahar Dil Main Utar Kar Hi Raas Aata Hay
Main Tujh Ko Pa Kay Bhi Khooya Howa Sa Rahata Hoon
Kabhi Kabhi Tu Mujhay Tunay Theek Samjha Hay
Mujhay Khabar Hay Keh Kiya Hay Judaioon Ka Azaab
Keh Main Nay Shaakh Say Gul Ko Bichartay Daikha Hay
Main Muskura Bhi Para Hoon Tu Kion Khafa Hain Yeh Loog
Keh Phool Tooti Hoee Qabar Par Bhi Khilta Hay
Usay Ganwa Kay Main Zinda Hoon Main Is Tarah Mohsin
Keh Jaisay Taiz Huwa Main Charagh Jalta Hay