Bichar Kar Aap Se Humko,Khushii Achchii Nahii Lagtii
Labon Par Yeh Banaawat Kii Hansii Achchii Nahii Lagtii
Kabhii To Khoob Lagtii Thii Magar Ye Sochtii Hoon Ab
Ke Mujhko Kyon Merii Ye Zindagii Achchii Nahii Lagtii?!
Tirii Maujoodagii Mein To Mujhe Har Baat Bhaati Thi
‘Terii Furqat Mein Koii Baat Bhii Achchii Nahii Lagtii’
Ko’ii To Saaz Chhere, Ko’ii To Naghma Idhar Goonje!
Bharii Mehfil Mein Itnii Khaam’shii Achchii Nahii Lagtii
Kabhii Hum Bhii Huaa Karte The Baadaakash Magar Jab Se
Tujhe Dekha Hai Tab Se Maikashii Achchii Nahii Lagtii
Zara Tuu Paas Aa,Main Ponchh Doon Ashkon Ko Pallu Se
Tirii Maasoom Aankhon Mein Namii Achchii Nahii Lagtii
Miree Aankhon Ne Jab Se Jeena Seekhaa Hai Andheron Mein
Kisii Bhii Qism Kii Ho Raushnii,Achchii Nahii Lagtii
Mujhe Har Gaam Pe Dukh,Dard,Ranj-O-Gham Mile Lekin
Khudaaya Aur Ab Uftaadgii Achchii Nahii Lagtii!
Na De Har Vaqt Tuu Dastak Mire Darvaaza-E-Dil Par!
K Ab Mujh Ko Yeh “Tarz-E-Dil-Lagii” Achchhi Naheen Lagtii
Agar Tum Chaah Sakte Ho,To Dil Se Chaaho Mujhko Tum
Mohabbat Mein Merii Jaan Bedilii Achchii Nahii Lagtii
Jhijhakte Kyon Ho Kehne Se?humein Maaloom Hai Sab Kuch!
K Tum Ko Ab Hamaari Dostii Achchhi Naheen Lagtii!