Bhigi Palkein Teri Yaad Kar Ke Mujhe
Par Tu Rona Nahin Yaad Kar Ke Mujhe
Maine Chaha Tha Kab Tu Ho Jaaye Zuda
Phir Meri Hasraton Ka Hasra Kyun Aisa Hua
Ho Gayi Tu Fanaa Ho Gaya Main Tabaah
Takdeeron Ne Kyun Baksha Aisa Sama
Ae Khuda Tu Mita Deta Tab Mujhko Agar
Jab Dhadka Tha Dil Jab Mili Thi Nazar
To Na Aaj Main Yun Zaar Zaar Ro Raha Hota
Na Apne Haathon Se Apna Ghar Tod Raha Hota
Bharosa Tha Mera Insaaniyat Par
Bharosa Tha Mera Teri Rehmato Par
Tu Na Aaya Phir Kyun Jab Qatl Mera Hua
Kyun Na Aaya Tu Jab Tha Lahoo Chhalka Hua
Kii Kya Roshni Aa Paayegi Kabhi Oon Aankhon Main Phir
Saamne Jinke Tha Meri Maut Ka Manjar Bikhra Hua
Kya Khushi Mili Is Duniya Ko Mazhab Kii Deewarein Bana Kar
Haan Khushi Mil Gayi Shayad “Saahil” Ko Deewaar Main Chunwa Kar