Bhakate Huye Sahil Se Poocho Ghar Wapis Kab Aayega
Kab Ye Daro-Deewar Sazege, Kab Ye Chaman Lahraye Ga
Sookh Chale Vo Guche, Jinse Kya Kya Phool Ubharne The
Ab Bhi Na Unki Pyass Bujhii To Ghar Jungal Ho Jayega
Kuch Kirane Aasi Hai Jo, Ab Tak Rah Usi Ki Takti Hai
Ye Aadhiyara Aur Raha To Phir Na Ujala Aayega
Samjha Hai Apane-Aap Se Chhut Ka Sara Jamana Dekh Liya
Dekhna Apane-Aap Mein Aakar Ye Kya Kya Sharmayega
Aasi Gyan Aur Dhayan Ki Baate Hum Jane Pahchano Se
Tu Aakhir Boola Hi Kya Tha,Tujhko Kya Yaad Aayega
Kuch Chote-Chote Dukh Apane,Kuch Dukh Apane Ajijoan Ke
Inse Hi Jeevan Benta Hai,So Jeevan Ben Jayega
Char Baras Se Begane Hai Lakin Hum Kya Begane Hai
Roothane Wala Jeevan-Shathi Do Din Mein Maan Jayege
Aye Dil Ke Toofano Uudho, Aye Aankhoan Ab Barso Bhi
Din Hote Hote Ye Kis Kis Daare Se Mil Hayega
Meeraji Ke Maanne Wale Kam Hai,Lakin Hum Bhi Hai
Galib Ki Baat Badi Hai Phir Bhi, Ab Waisa Kaun Aayega