Bezubaani Zabaan Naa Ho Jaye
Raaz-E-Ulfath Ayaan Naa Ho Jaye Hafeez Hoshiarpuri
Dard Badhkar Fughaan Naa Ho Jaye
Yeh Zameen Aasman Naa Ho Jaye Jigar Moradabadi
Ghazal Zabth Kaa Imtihaan Naa Ho Jaye
Shama-E-Hasti Dhuaan Naa Ho Jaye
(Zabt=restraint, Control)
Qissa-E-Gham Bayaan Naa Ho Jaye
Phir Qalam Khoonchakaan Naa Ho Jaye
(Khoonchakaan=khoon Tapakta Hua, Dripping Blood)
Gham-E-Aalam Raqam Hua Jis Mein
Woh Meri Dastaan Naa Ho Jaye
(Raqam Hua=likha Hua)
Sar-E-Mehfil Tumhari Aankhon Se
“Raaz-E-Ulfath Ayaan Naa Ho Jaye”
(Ayaan=reveal,Disclose)
Naala-E- Andaleeb-E-Gulshan-E-Gham
Meri Tarz-E-Fughaan Naa Ho Jaye
Naala=wail, Andaleeb=nightingale Of Paradise,
Tarz=style, Fughaan=lament,
Yani Gham Ke Gulshan Kii Bulbul Kaa Rona,
Mera Andaz-E-Fughaan Naa Ho Jaye))
Meri Jaanib Nigah-E-Mast Uthi
Hosh Kaa Imtihaan Naa Ho Jaye
Khana-E-Dil Se Jo Uthi Hai Sada
Shor-E-Kaun-O-Makaan Naa Ho Jaye
(Kaun-O-Makaan=zameen, Aasmaan)
Bazm-E-Duniya Se Dil Lage Naa Kahin
Fikr-E-Sood-O-Ziyaan Naa Ho Jaye
(Sood-O-Ziyaan=profit And Loss)
Maut Ke Dar Tak Aa Gaye Daanish
Zindagi Mehrbaan Naa Ho Jaye