Beychain Rooh Ko Apni Qaraar Tu Aaye
Unke Hoontoon Pe Kabhi Iqraar Tu Aaye
Hochale Har Mausam Zindagi Ka Purkaif
Sanam Ka Zara Paigam-E-Israar Tu Aaye
*Purkaif=mazay/sukoon/nashay Se Bharpoor, Israar=zid/insist Karna
Haar Ker Jeet Jeet Ker Haar Jaayengay
Intehaa-E-Mohabbat Ki Taqraar Tu Aaye
*Taqraar=discussion/behass
Tark-E-Talauq K Adaab Mahlooz Rakhiye
Tehriye Pehlay Koi Ek Daraar Tu Aaye
*Mahlooz=khiyaal Rakhna
Ek Rah K Raahi Alag Hoon Kaisay Bhala
Juda Hone Ki Koi Rah-E-Faraar Tu Aaye
Guzray Sukoon Se Zindagi Unki Humesha
Magar Koi Ek Lamha-E-Iztiraar Tu Aaye
*Iztiraar=restless
De Jaayengay Mohabbat Ko Azmat Ek Din
Amaan K Ishq Mein Woh Sharaar Tu Aaye
*Sharaar=spark