Bey-Zaar -O- Bey-Qaraar Soyaa Hoon Meyn
Khawaahishein Kar Darkinaar Soyaa Hoon Meyn
Khear-O-Aaphiyat Se Ye Shab Gujar Jaaye
Mehroomi-E-Aagosh-E-Yaar Soyaa Hoon Meyn

(Khear-O-Aaphiyat=kushal-Mangal)
Gardish-E-Qaaynaat Mein Hasti-E-Khuda Ko
Kar Ke Sajda Baar-Baar Soyaa Hoon Meyn
Har Aahat Pe Uske Aane Ka Gumaan Hota Raha
Tamaam Raat Kal Bada Bey-Daar Soyaa Hoon Meyn
(Bey-Daar=sacheyt)
Sitaaron Se Aarastaa Aasmaan Ki Chhat Tale
“Azal” Bey Dar-O-Deewaar Soyaa Hoon Meyn