Bewafai Ka Ilzaam Lagate Hai Hampe
Mohabbat Wo Meri Kam Samajhte Hai
Beech Safar Me Rukh Mod Ke Wo Chal Diye
Hamsafar Jinhein Ham Samjhte Hai
Mere Qaatil Ko Saza Di Nahi Zamane Ne
Is Haq Ka Usay Mehram Samajhte Hai
Faqat Laanat Naseeb Duniya Ki Hui Unhein
Aashiq Ke Jo Ranjh-O-Gam Samajhte Hai
Beete Lamhon Ke Khazaane Ab Dafn Kahan Karein
Har Yaad Ko Jinki Ab Sitam Samajhte Hai
Us Be-Niyaaz Se Kehdo Duaae’n Na Maanga Kare
Duaao’n Ke Asar Ko Jo Marham Samajhte Hai
Uske Gham Me Nikle Alfaaz Shayari Lagne Lagi
Uski Yaad Mey Nikli Aah Ko Log Nazm Samajhte Hai