Betab Hai Dil Ke Arman Band Kamre Mein
Sote Hue Jagte Hain Jazbaat Band Kemre Mein
Chahat Ke Agosh Me Bejubaan Irado Ki Tapish
Kitne Hi Sailab Behtey Hain Band Kamre Mein
Labon Ki Pyas Kitni Adhoori Si Hai Ab Bhi
Jab Ki Paimane Challaktey Hain Band Kamre Mein
Belagaam Sanson Ka Yun Khulker Daurna Kabhi
Kasmasahat Ke Pawn Dabtey Hain Band Kamre Mein
Derd Me Aksar Yun Khamosh Reh Jane Ki Talab
Cheekhon Ke Buland Hausley Hotey Hai Band Kamre Mein
Gulon Ke Mausam Me Sehra Ki Gumani Ka Asar
Kitne Sookhey Darakht Jaltey Hain Band Kamre Mein
Duniya Ki Sacchai Ka Aaena Bus Itna “Sona”
Jhoot Ke Sabhi Raaz Khultey Hain Band Kamre Mein