Besabr Nigahon Ki Aas Se
Khamosh Labo Ki Payas Se
Jeevan Ki Aakhiri Sans Se
Yeh Shabd!
Kabhi Bhi Kho Jate Hain Yeh
Kabhi Bhi Ro Jate Hain Yeh
Kabhi Ruh Se Apne Hain Yeh
Kabhi Aur Ke Ho Jate Hain Yeh
Kabhi Pyar Ke Ehsaas Se
Kabhi Zindagi Se Khaas Se
Kabhi Dil Mein Fasi Fass Se
Yeh Shabd!
Swapn-Aakash Mein Udaa Dete Hain Yeh
Apno Ko Bhi Chhuda Dete Hain Yeh
Asar Mizaaz Sa Badal Lete Hain
Gehre Rishte Bhi Tuda Dete Hain Yeh
Dhadkan Se Dil Ke Pass Se
Aadat Se Mann Ke Daas Se
Aue Sadee Murde Ki Baas Se
Yeh Shabd!
Badnaam Bhi Hote Hain Aur Merte Bhi Hain
Hazaro Ko Yeh Tabah Kerte Bhi Hain
Meethe Bhi Hote Hain Bus Hirdaya Chahiyee
Meethe Ho To Dukho Ko Herte Bhi Hain