Bazm Se Unki Ab Bhi Aate Hai Bulawe,
Magar Vo Kaun Hai,Jo Virane Samzte Honge,
Yakinan Us Manzil Ko Mai Pa Na Sakuga
Jiske Raste Apano Ki Galiyo Se Guzarte Honge,
Tu Aaftab Tha To Buz Gaya Kaise,
Jaroor Teri Roshani Andhere Parakhte Honge,
Dekhkar Koi Bhi Ujada Hua Aashiya
Log Use Mera Thikana Samazte Honge
Diye Samandar Me Laharo Se Puchate Hai
Wo Kaun Log Hai Jo Kashtiya Dubote Honge,
Lafzo Ke Samandar Me Kashtiy E Gazal Hai,
Lahro Ke Uchhalne Se Maine Badalte Honge,
Ye Fizaye Aaj Narm Si Kyon Hai,
Shayad Meri Yad Me Aansoo Bahate Honge,
Jalti Hui Shama Buza De Rahi
Tera Gam Andhere Samazte Honge