Batao Mujhe Bhul Jaaoge Kaise
Batao Mujhe Bhul Jaaoge Kaise
Saagar Se Paani Churaaoge Kaise
Tere Aankhon Mein Jo Basi Meri Surat
Is Chehre Par Kafan Tum Chaadaoge Kaise
Paazyeb Mein Teri Bas Rahi Meri Khusbuu
Teri Chudiyaan Bhi Kahe Meri Hai Tu
Chudiyoon Ka Yun Jhoota Bataaoge Kaise
Batao Mujhe Bhul Jaaoge Kaise
Aayengi Jab Kabhi Sharm Yunhi Tumhe Bhi
To Kyun Na Karoge Yaad Phir Woh Zamaana
Mujhe Dekhkar Tera Palkein Jhukaana
Mera Phir Woh Tujh Se Naina Milaana
Na Jaane Kaisi Woh Barsaat Hogi
Khud Ko Tum Itna Rulaaoge Kaise
Batao Mujhe Bhul Jaaoge Kaise
Batao Mujhe Bhul Jaaoge Kaise
Chuuegi Tumhe Jab Hawa Shokh Chanchal
Tum Meri Chuaan Ko Chupaaoge Kaise
Karoge Kabhi Jo Mere Yaar Sajdaa
Mohabbat Ko Muh Tum Dikhaaoge Kaise
Kabhi Fir To Hogi Khwaabidaa Yeh Nazaren
Bachpan Ke Jawaan Din Saatayenge Tumko
Mere Khaande Pe Tera Woh Sar Rakh Ke Sona
Guzar Kar Bhi Yaad Aayenge Tumko
Qurbat Mein Teri ‘Fanaa’ Woh Nazare
Rahoge Sada Sanam Tum Hamaare
Humse Hi Phir Duur Jaaoge Kaise
Khud Ko Tum Itna Rulaaoge Kaise
Batao Mujhe Bhul Jaaoge Kaise