Basti Ho Zehan Mei Zafaa Jiske
Wo Wafaa Ka Matlab Kya Jaane
Jo Sote Ho Chain Se Raaton Ko
Wo Tanhaai Ka Aalam Kya Jaane
Khelna Dilon Se Jinki Aadat Ho
Wo Tute Dil Ka Dard Kya Jaane
Roz Milte Ho Jo Naye Logo Se
Wo Dard Judaai Ka Kya Jaane
Dard Dena Jinki Aadat Ho
Wo Ashko Ki Kimat Kya Jaane
Dil Jika Patthar Ho
Wo Dil Ki Tadap Ko Kya Jaane
Khilte Ho Har Roj Jaha Naye Ful
Wo Patjhad Kya Ujad Le Jata Hai Wo Kya Jaane
Barast Ho Khushiyon Ka Sawan Jinke Dwar
Wo Sagar (Bhawna) Ki Pyaas Ko Kya Jaane
Basti Ho Zehn Me Jafaa Jiske
Wo Wafaa Ka Matlab Kya Jaane