Basti Dil Kii Aabaad, Teri Hasrat Sei Karti Rahi
Is Tarah Qarzaa-E-Ulfat Paras, Bharti Rahi
Lamha Lamha Jo Tum Aagosh Mein Laate Rahe
Teri Wafa-E-Rang-O-Bu Sei Main, Nikharti Rahi
Aaye Tum Dilbar, Mere Sehra Mein Saba Bankar
Kii Chuur Ho Ishq Mein, Main Shayri Karti Rahi
Ho Bhala Teri Tashnalabbi-O-Be-Ikhtiyaari Kaa
Tum Udhar, Main Idhar Jalti Rahi, Marti Rahi
Teri Chaah Ki Kami Se Cheekh Kar, Tadapi Jo Rooh
Boond Girne Se Pehle, Gale Mein Gauhar Bharti Rahi
Kabhi Gumaan Tau Kabhi Eitbaar Kii Maanind
Meri Mohabbat Bhi Bigadti Rahi, Sanwarti Rahi
Dard, Aansoo, Azaab, Jo Bhi Baksha Tumne
Ba-Khushi In Daulaton Se, Chaak Daman Bharti Rahi
Pas-E-Zulmat, Hogi Kabhi Tau Meri Bhi Sehar
Isi Intezzar Mein, Bekas Jindaagi Guzarti Rahi