Basanti Sur Main Kuchh To Gaaiye Barsaat Ke Din Hain
Suhaane Geet Phir Duhraaiye Barssat Ke Din Hain
Bohat Soona Hai Shehr-E Dil Bohat Afsurda Raahen Hain
Mere Is Shehr Men Ruk Jaaiye Barsaat Ke Din Hain

Bohat Hai Muntazir Yeh Dil Kisi Nazr-E Inayat Ka
Bohat Is Dil Ko Mat Tarsaaiye Barsaat Ke Din Hain
Jahaan Ab Bhool Kar Bhi Mehrbaan Koi Naheen Aata
Wahaan Lutf-O-Karam Farmaaiye Barsaat Ke Din Hain
Jahaan Ham Chandni Raaton Men Tishna Kaam Rehte Hain
Wahaan Gardish Men Saaghar Laaiye Barsaat Ke Din Hain
Hamen Daar-O-Rasan Ke Pech-O-Kham Fursat Nahin Dete
Yeh Gesoo Aap Hi Suljhaaiye Barsaat Ke Din Hain
Faraz Ab Ho Chukeen Sab Khwahishen Un Se Munajaaten
Ab Apne Dil Ko Khud Bahlaaiye Barsaat Ke Din Hain