Barsoon Pehlay Ki Yeh Baat Hay
Unwaan Iss Ka Ek Aurat Zaat Hay
Hoti Hay Ek Ghar Mein Larki Paida
Alamat Jiski Rehmat Ki Barsaat Hay
Maa Baap Rishtaydaar Hain Khush
Har Su Phaile Khushi K Lamhaat Hay
Baap Ne Chalna Sikhaaya, Maa Ne
Karaayi Sanskaar Se Mulaqaat Hay
Naazoo Mein Pali,Sab Ki Woh Laadli
Phooloon Se Saji Ek Sugaat Hay
Kuch Hi Waqt Mein Hoyi Samjhdaar
Hoti Phir Parhayi Ki Shuruwaat Hay
Dhere Dhere Usper Jawaani Anay Lagi
Shokh Chanchal Husun Ki Barsaat Hay
Atay Jate Nazray Jhuka K Chalnay Lagi
Raste Pe Khari Larkoon Ki Baraat Hay
Baji Seetiyaan, Honay Lagay Ishaaray
Dukhne Lagi Fiqroo Se Uski Samaat Hay
Lagi Pabandi Parhaayi Pe,Ghutne Lagay
Bund Kamray Mein Uske Jazbaat Hay
Maa Baap Ko Hoyi Hay Fikar Shadi Ki
Na Socha Beeti K Kiya Khiyalaat Hay
Kuchal Ker Jazbaat Biyaah Diya Usko
Nahi Tere Ehsaas K Tu Aurat Zaat Hay
Naye Ghar Rishtoon K Bich Aayi Woh
Shohar Se Juray Uss K Ehsaasaat Hay
Howa Zindagi K Naye Safar Ka Aagaaz
Qadam Larkhraye Dil Mein Khadshaat Hay
Kuch Din Khushi K Guzre Susraal Mein
Phir Shuru Saas Nannd K Ilzamaat Hay
Shohar Bhi Honay Laga Paraaya Ab Uska
Gussay Mein Sunanay Laga Kharafaat Hay
Milnay Lagay Taanay,Shuru Hoye Shikway
Badlay Badlay Se Aaj Ghar K Halaat Hay
Shohar Ko Howa Shak Us Paakbaaz Per
Phir Talaaq Ki Soorat Mein Di Nijaat Hay
Bhar K Daaman Zakhmoo Se Chali Ghar
Maike K Dar-O-Baam Pe Thartharaat Hay
Dene Lagay Dilaasa, Behlaanay Lagay Dil
Na Samjh Paya Per Koi Uske Jazbaat Hay
Kuch Hi Din Mein Ban Gayi Boojh Bhai Per
Bhabi Ko Bezubaan Se Hoyi Shikayaat Hay
Din Ko Lub Pe Aaweza Jhooti Muskaan Liye
Sehraayi Aankhoon Se Karti Mulaqaat Hay
Sab Batain Sun Leti, Sab Kuch Seh Jati Hay
Shaam Dhale Soochoon Ki Lambi Raat Hay
Dost Yaar Phir Dikhaanay Aaye Apnapan
Ankh Mein Hawis,Dil Mein Shuwuhaat Hay
Chaal Chalan Per Uthnay Lagi Ungliyaan
Talaaq Yaafta Aurat Ki Yehi Auqaat Hay
Kyon Yeh Baat Bhool Jata Hay Maashra
Maa, Behan, Beti Yehi Aurat Zaat Hay