Barsat Ka Tha Muasam Aur Ajeeb Tha Saman
Sham Hone Ko Thi Aur Neela Tha Assman
Door Se Aatey Huye Dikhtey They Siyah Badel
Sochta Tha Ghar Puhuch Jaaon Barish Se Qibal
Mein Tha Khali Yaha Aur Koi Bhi Tu Nahi Tha Waha
Nah Thi Koi Essa Zaruka Sar Ko Chupa Leta Mein Jahan
Siyah Badel Aa Ke Cha Gey Aur Pani Laga Tha Barsne
Kuch Nazar Nahi Aata Tha Aur Charon Taraf Tha Dhooan
Barq Chamak Ke Akhein Chakchoond Kar Deti Thi
Jis Peid Ke Neeche Tha Mein Usper Apsra Rehti Thi
Garjata Tha Badel Musla Dhar Pani Laga Tha Barsne
Esse Mein Akela Tha Aur Mein Tha Laga Darne
Phir Kissi Ki Awaz Aai Jaise Phut Pade Hoon Jarne
Aawaz Thi Kissi Ladki Ki Woh Aai Thi Kiya Waha Karne
Qheqha Thi Lagati Woh Arman Thi Anokhey Jagati Woh
Apni Shokh Hansi Ke Sath Pani Thi Barsati Woh
Aaspaas Thi Kahein Lekun Dikhta Koi Bhi Nah Tha Wahn
Mein Tha Akela Aur Charon Taraf Tha Chaya Dhooan
Itne Mein Kissi Ne Mere Shine Per Hath Tha Rakha
Hole Se Kuch Kah Usne, Kano Ne Ras Naya Chakha
Dar Se Kanp Rah Tha Magar Us Ne Yeh Mujh Se Kaha
Teri Muntazer Thi Kab Se Mein Aur Tu Aaj Tak Raha Bhatka.
Dekha Jo Mein Ne Uski Janab Tu Dekhta Hi Reh Giya
Khawab Tha Woh Keh Haqeeqat Sochta Hi Reh Giya
Missaal Thi Woh Hussan Ki Essa Husan Nahi Dekha Tha
Khayal Tha Woh Mera Khayalon Ko Khojta Hi Reh Giya
Husan Mein Kamal Thi Uski Shokhi Bhi Lazawabl Thi
Lagti Thi Apni Si Per Iss Duniya Ki Woh Na Behar Hal Thi
Siyah Ghataon Ki Terh Geele Uske Baal They
Kashmeiri Sebon Jesse Shurkh Uske Gaal They
Darbar Hussan Mein Ba Adab Mein Khada Tha
Keh Usne Kamal Ada Se Ki Mujh Per Shokh Nigah
Apni Hasti Bhol Gaya Essa Mein Madhoos Hoa
Esse Mein Us Se Mein Ne Mangi Ussi Ki Panah
Kanp Raha Tha Badan Mera Aur Larzta Tha Seena
Jab Ankh Khuli Meri Tu Jism Tha Paseena Paseena
Ab Ehsaas Hoa Khawab Mein Dekha Tha Woh Nagina
Mein Tha,Meri Tanhai Thi ,Aur Koi Nah Tha Wahan