Barbaadi-E-Jashn Apni, Kuch Iss Tarhaa Se Manaate Hain
Kaasa-E-Ashk Hota Hai, Aur Dil Ko Khoob Jalaate Hain
Hamaare Saath Hoti Hai, Andhero’n Ki Jawaa’n Mehfil
Kuch Uski Sunte Hain, Aur Kuch Apni Sunaate Hain
Chalak Jaate Hain Kabhi Jab, Meri Palko’n Se Aansoo
Uss Boond Ko Phir Se, Inhee Palko’n Pe Sajaate Hain
Mere Armaan Ka Maatam, Manaati Hain Meri Khushiya’n
Kafan Ki Surat Mein, Wo Aaaho’n Ko Bichaate Hain
Mujhe Turbat Mein Litaakar, “Alam” Kyon Ye Hanste Hain
Mere Shaffaf Badan Par, Kyon Mitti Ko Giraate Hain