Baraf Ko To Soraj Ki Kirnein Pighla Deti Hein,
Lekin Aansu Ka Wo Qatra,
Jab Bhi Jamne Ke Liyey Nikalta Hai,
Aksar Pheil Jata Hai, Shayed Isi Liyey,
Hansi Hansi Mein, Ham Tum,
Dilon Se Kheil Lete Hein. Yunhi Hansi Mein,
Ham Dilon Se Kheil Lete Hein,
Kabhi Chubta Huwa Jumla,
Koi Choti Si Baat,
Bazaahir Be Zarar Magar Zo Mae-Ini-Si,
Kabhi Talkh Sa Lehja, Dil Par Ghao Lagata Hai,
Talaafi Ka Koi Marham , Madawa Ban Nahi Sakta,
Qatra Qatra Khoon, Hameesha Rasta Rehta Hai,
Tapakta Rehta Hai Wo Aansu Jo Aankh Se Nahi Girte,
Kahin Ander Jam Jaate Hein,
Jese Shabnam Ya Aus Kehar Aalood Shamon Mein Jam Jati Hein