Bar-Khilaaf-E-Har Ummiid Yeh Chaah Mitaayi Na Gayi
Mehar Unka Nahin Tere Liye,Baat Dil Ko Samjhaayi Na Gayi
Tumko Paa Hee Leinge Ik Din Fanaa Ho Ke Hum
Sa-I-E-Behaasil Hogi Yeh Baat, Khud Ko Bataayi Na Gayi
Dil Mein Zalzala Uth Ta Raha Baarahaa Aksar
Us Aatish Fishaan Ki Raakh Chehre Se Dikhaayi Na Gayi
Us Zubaan Pe Kya Guzari Daba Ke Dil Kee Har Baat
Jiski Tadap O Kadwahat Labon Pe Laayi Na Gayi
Wo Gauhar Bhi Tuut Ke Bikhre Hain Yahan Wahan
Piroyi Mala Jinki Dil Ne Go Palkon Pe Sajaayi Na Gayi
Tumse Kya Shikwa Janaa Tumse Koyi Shikwa Nahi
Humse Hee Musalsal Lakeeron Se Maat Khaayi Na Gayi
Chale Thhe Aashiyaan-E-Yaar Ka *Tameer Karne
Ek Iint Bhi Uski Neenv Mein Lagaayi Na Gayi
Marti Rahi Dam Ba Dam Tumhare Hee Aagosh Mein
Sard -Ë—paras-‘ Ko Dekh Kyun Tumse Nazar Churaayi Na Gayi